Sunday, November 25, 2007

Aakhirii Khat....

Zarra Zarra le mujhse teri khabar,
poochte hain kab lautoge is dagar...
aakhiri chitti wahii fir padh deti hun teri,
"Aakhiri salaam" tera, muskuraakar "Phir milenge", main kehti...

Muskuraakar wo tees chupa to main leti
Fir akele mein tere naam ki khudko chitthi hun likhti
'Besharam ashk' saath chod gir jaate hain khat par
Teri yaadon ke sparsh mein ghul jaatein hain mit kar

Naadaan, anjaan hain ki tu nahi chalaawa hai
mil rahe hain jisme,ashiyana nahi, janaaza hai
yeh akhiri khat tera, mere liye tera akhiri nishaan
dil mein thi ek tasveer, toot gayi kaanch ke sheeshe ki tarah

Teri mehak hai bandhi hui is khat se
Teri aawaaz hai dabi hui har shabd mein
tera haath samajh pakde rehti hun isko
kalma samajh padhti rehti hun isko

Teri chavi ko chaand mein takti hun ghanton
jaise khidki pe khada tu dekh raha ho mujhko
fir tabhi mera mann tujhe udke choone ko chaahe
par tabhi tera khat mere khwabon pe bandish laga jaye

Tere khwabon ki main thi hi nahi manzil
Tere geeton ki main thi hi nahi sargam
Na jane kyun maine ye duniya basa li thi
Darwaze pe main khadi,bas tere ane ki bari thi
Tu nahi tera khat tha aya
"Phir milenge" nahi, maine "akhiri salaam" likha paaya

Mera aks teri hi parchayi,
Khadi hun darwaze par, kahin to teri aahat ayi
poochte hain log kab lautoge tum is dagar
Akhiri chitti teri padh deti hun kuch is kadar
"Phir milenge hum", is nahi to agle janam....