Sunday, October 4, 2009

Shayari Corner

Khafaa ho rahi hai, Yun chaahat bhi mujhse
Ki mera deedar bhi unko sazaa lag rahi hai
Chupa lungi khudko fir un andheron mein
Naa jaane kya mujhse khataa ho rahi hai

Padhte the jis gazal ko wo shaayar the banke
Us naam ko bhi padhna unhe ab sazaa lag rahi hai
Mile bhi humse, yun anjaan the banke
Rab ne naa jaane kaisi takdeerein likhi hain

Fer liya hai chehra, kuch aise yun mujhse
ki saye bhi apne takraate nahi hai
rehte hain shayad dono ek hi duniya mein
jaane fir kyun doori aseemit lag rahi hai

--------------------------------------------------------------

Kuch Shabd ankahe, magar baatein hain poori
Kuch khwaab hain sacche par kahaani adhoori
Kuch sawaalon ka saleeka, magar jawaabon ki badsalooki
Adhoori si kismat, kyun lakeerein hain poori
Saath rehte hain jab hum, aseemit hai doori
door rehkar hai dekho, na choo paane ki majboori..

-----------------------------------------------------------------

Dhoondti hun in lamho mein main guzre waqt ka saaya
Bikhar rahein hai ik ik moti, kab koi dhaaga inhe rok paaya

-----------------------------------------------------------------

Yun izhaar mein, toh kabhi tere inkaar mein
In aankhon ne sirf ashk hi chalkaaya
Sookh jaate hain jab ye ashk
Kabhi shikan toh kabhi khud ko muskuraata paaya

-----------------------------------------------------------------

Waqt ne kab kiska kya banaaya hai
Wo andhaa toh bas chaltaa hi aaya hai
Banaate hain hum, ik ik moti piroke
Wo toh dhaagon ko chitkaata hi aaya hai

-----------------------------------------------------------------

Boondein..

khidki se baahar takti nigaahein..
baarish ki boondon ko chooti hawaayein..
fir wahi mehak aas paas kuch yun mandraaye..
tere aane ka sandesaa chupke se kano me keh jaye

yun barasti hai chaahat in boondon mein kaid
yun taraste hain sapne karne manzil ki sair
in titliyon ko dekho har patte pe hain jhoomti
kehti hain ye is chaahat ko mehsoos hun karti

is bheege hue pal mein nam aankhein hain kehti
dhundle se dikhte khwaab par teri chaahat hai mehakti
is chatri ke neeche kyun akeli hun chalti
in boondon se naa jaane kyun humesha main darti

kitne fasaane dhuno mein piroye the maine
shabdon mein jaane magar kyun na sanjoye
gum ho gaya tha sangeet kahin bas yun mujhse
ki aj in boondon ne fir se sikhaya hai chehekne

Saturday, February 9, 2008

Mithyaa...

gumraah kar diya khudko...jhooti roshini mein
gumraah kar diya khudko...jhooti roshini mein
andhere ki fir se kami khal rahi hai
ghadi do ghadi mumkin baatein nahi hain
is shor mein khamoshi kahin kho gayi hai

kyun bana liya hai tujhe, itna maine pyaara
kyun bana liya hai tujhe, itna maine pyaara
ki berukhi bhi teri..mujhe dua lag rahi hai
kyun khudko banaya hai humne yun mome
ki jab dekho to usme shama jal-bujh rahi hai

karein kisse shikwa..koi hai kya jo sunle
karein kisse shikwa..koi hai kya jo sunle
kya ab dil bhi kisi ke dhadakte nahin hai
jis mohalle ko main chod bhi thi na paayi
darwaaze band uske kyun hone lagein hain

aankh band karke bhi nahi dekhna hai yun tujhko
aankh band karke bhi nahi dekhna hai yun tujhko
chalo! khwaab to mere mujhko samajhne lage hain
gumraah kar diya khudko kyun jhooti roshini mein
andhere ki fir se mujhe ab kami khal rahi hai

Friday, January 11, 2008

Manus hum bin mol...

Wa ri duniya, bairan tere bol
Bhala karan jo mai chali, gala ghotan sab log

Kya bhala, to kya bura,Kisne hai pehchaani
Sab kuch to hai napa tula, Kal jo rank wo ab abhimani

Karat hum kisi ka kya bhala, manus jo hai bin mol
Kare sabhi ka ek hi hai, Wo jo hai bemol

Jab karni teri kathni teri, kyun dujon par anguli uthaaye
Raam naam to jape rahit, mann mein tu raavan basaye

Pachtave ki aag mein, sab hi laptan jaaye
Man mos kar baithe hain, mukh se kuch na fute paye

Karm se upar kuch nahi, Rishton ko yehi baandhein
Jab rishtey rahe bandhe dhaagon mein, fir koi kyun pachtaye

Ardh satya to sab jaanat, par kisne isko maani
thokar mari jis mitti ko, ant sab wahin mil jaani

Leela uski kisne jaani, hum sab to katputli
Dor kheenchat, kab chodat, Sab uski manmaani :)

Sunday, November 25, 2007

Aakhirii Khat....

Zarra Zarra le mujhse teri khabar,
poochte hain kab lautoge is dagar...
aakhiri chitti wahii fir padh deti hun teri,
"Aakhiri salaam" tera, muskuraakar "Phir milenge", main kehti...

Muskuraakar wo tees chupa to main leti
Fir akele mein tere naam ki khudko chitthi hun likhti
'Besharam ashk' saath chod gir jaate hain khat par
Teri yaadon ke sparsh mein ghul jaatein hain mit kar

Naadaan, anjaan hain ki tu nahi chalaawa hai
mil rahe hain jisme,ashiyana nahi, janaaza hai
yeh akhiri khat tera, mere liye tera akhiri nishaan
dil mein thi ek tasveer, toot gayi kaanch ke sheeshe ki tarah

Teri mehak hai bandhi hui is khat se
Teri aawaaz hai dabi hui har shabd mein
tera haath samajh pakde rehti hun isko
kalma samajh padhti rehti hun isko

Teri chavi ko chaand mein takti hun ghanton
jaise khidki pe khada tu dekh raha ho mujhko
fir tabhi mera mann tujhe udke choone ko chaahe
par tabhi tera khat mere khwabon pe bandish laga jaye

Tere khwabon ki main thi hi nahi manzil
Tere geeton ki main thi hi nahi sargam
Na jane kyun maine ye duniya basa li thi
Darwaze pe main khadi,bas tere ane ki bari thi
Tu nahi tera khat tha aya
"Phir milenge" nahi, maine "akhiri salaam" likha paaya

Mera aks teri hi parchayi,
Khadi hun darwaze par, kahin to teri aahat ayi
poochte hain log kab lautoge tum is dagar
Akhiri chitti teri padh deti hun kuch is kadar
"Phir milenge hum", is nahi to agle janam....








Monday, August 27, 2007

Kashmakash........

zindagi lagti hai yun khafa,chaah kar bhi nahi ho pati main juda..
in khayalaton se jo jud rahein hai kuch is kadar...
kar rahein hai yeh katle-aam mera shaamo sehar...
ajeeb si kashm kash,fir rahi hai dar badar...
thaam loon inhe,jala doon inhe...
fir bhi chod jaayengi raakh, hain kuch is kadar besharam...

raahein nahi hai anjaani, par lagta hai darr...
nahi chaahti woh shaam fir laute..leke kaali abra..
khuda ke waaste mat karna darwaaze band..
kahin bikhar na jaye is baar..woh sapno ka mehal..
na juta paoongi fir himmat..na la paoongi fir nayi sehar..
jud rahee hai yeh aawaaz mujhse yunhi is kadar...

suraj jo ujala lata hai, woh jala bhi to deta hai..
mann jo himmat deta hai, woh dehla bhi to deta hai..
baat jo hansaa deti ho, ansoon chalka bhi to deti hai..
jeevan jo banaati hai, wahi mita bhi to deti hai..
sthaayi jab nahi hai kuch,tu kyun hai yeh kashmkash...

kaash! dekh kar aa pati main kuch pal aage..
par kyun uljha rahin hoon main apne jeevan ke dhaage..
pirona hai maalein mein ek ek moti chunke...
yeh moti jo baithe the kabhi seepi mein chupke..
aane do un lehron ko, chodenege inhe yahi to kinare...
in palon mein jo bhi ho,nahi hai kuch bhi zindagi ke aage..

(3-aug-2007)

Wednesday, May 9, 2007

Atkheliyaan....


Gori jo aawat hai, man chalkat jaawat hai,
gori ki hansi, maano ho swarg ki pari,
saiyaan se apne woh nazrein churaawat hai,
par saiyaaan ko chup se woh dekhan jo laagat hai...

chan-chan chun-chun payal chankaati woh,
man mein mayoor khul khul kar jo naachat hai,
laton ko apne woh surkh gaalon par laawat hai,
saiyaan ke man ko woh bhaanti lalchaawat hai...

tuk-tuk apni nazrein gadaaye pade hain,
saiyaan ab apni palkein bichaayein khade hain,
balkhaati ithlaati gori ab nazdeek jo aawat hai,
dono ki dhadkan badhti hi jaawat hai...

saiyaan gori ko jabran jo pakdat hai,
naazuk kalaayi " haay!! " uski marodat hai,
gori sharmaayi, woh bhi muskuraawat hai,
ghoonghat jo uska mukh ko chupaawat hai...

saiyaan ki baahein ab uska sahaara hai,
gori ka sharmaana saiyaan ko bhaata hai,
baaki khade chore mann jo jalaawat hain,
amma-dadi balaayi lene jo laagat hai...

naache murli ki dhun hoke baanwariya,
gori ko aaj na roko saanwariyaa,
krishna raadha saani jodi yeh laagat hai,
bhagwan inko ik dori mein baandhan hai...