Wednesday, May 9, 2007

Atkheliyaan....


Gori jo aawat hai, man chalkat jaawat hai,
gori ki hansi, maano ho swarg ki pari,
saiyaan se apne woh nazrein churaawat hai,
par saiyaaan ko chup se woh dekhan jo laagat hai...

chan-chan chun-chun payal chankaati woh,
man mein mayoor khul khul kar jo naachat hai,
laton ko apne woh surkh gaalon par laawat hai,
saiyaan ke man ko woh bhaanti lalchaawat hai...

tuk-tuk apni nazrein gadaaye pade hain,
saiyaan ab apni palkein bichaayein khade hain,
balkhaati ithlaati gori ab nazdeek jo aawat hai,
dono ki dhadkan badhti hi jaawat hai...

saiyaan gori ko jabran jo pakdat hai,
naazuk kalaayi " haay!! " uski marodat hai,
gori sharmaayi, woh bhi muskuraawat hai,
ghoonghat jo uska mukh ko chupaawat hai...

saiyaan ki baahein ab uska sahaara hai,
gori ka sharmaana saiyaan ko bhaata hai,
baaki khade chore mann jo jalaawat hain,
amma-dadi balaayi lene jo laagat hai...

naache murli ki dhun hoke baanwariya,
gori ko aaj na roko saanwariyaa,
krishna raadha saani jodi yeh laagat hai,
bhagwan inko ik dori mein baandhan hai...

Tuesday, May 8, 2007

Bas choona hai aasmaan...

Chal pada hoon is path par akela,
bas dikhti hai manzil, kya raat kya savera,
hogi na raah aasaan, par chalte chale jaana hai,
bas choona hai aasmaan, ooncha udte chale jaana hai....

rukoonga nahi,thakoonga nahi,
chaloonga wahi jahaan manzil paana hai...

Ab chaahe koi aae raah mein,ab chaahe koi pathar ho mod pe,
hata doonga, mita doonga har woh deewaar,
khadi hogi jo mere manzil ke is paar....

Ab aae jisko aana hai, jaae jisko bhi jaana hai,
dikhta mujhe sirf ek hi nishaana hai,
bas choona hai aasmaan, ooncha udte chale jaana hai,
hogi na raah aasaan, par aage chalte chale jaana hai....

Lagaa doonga par main, ab apni is udaan mein,
nahi thamoonga ab , chaahe jo bhi ho saamne,
reh reh kar uthta hai lava kuch kar dikhane ka,
hogi ye meri hi zameen, mera hi aasman

yeh khwaab sanjoye ab mujhe aage badhte hi jaana hai,
bas choona hai aasmaan, ooncha udte hi jaana hai,
hogi na raah aasaan, par aage chalte hi jaana hai...

Pehchaanegi ye duni mujhe mere naam se,
denge sab salaami mujhe badi shaan se,
himmat badi hai dikha doonga main,
dar ki jagah nahi sikha doonga main...

Kehta hain abhi yeh log "dekho kya matwala hai,
chala ja raha hai madmast, iska na koi thikana hai"
nahi hai parwa mujhe, kehne do jo bhi inko kehna hai,
Mujhe to choona hai aasmaan, ooncha udte chale jaana hai...
hogi na raah aasaan, par mujhe to manzil ko paana hai...

Tum Bin..

This is more of lyrics than a poem...very much inspired by the title track of movie Tum bin..so have used the main lines of that song in this attempt of mine..i wrote these lyrics while listening to this song n just went on giving it my own words...

tum bin jiya jaaye kaise...kaise jiya jaaye tum bin...
sadiyon se lambi hain raatein..sadiyon se lambe hue din...
aa jaao laut ke tum...yeh dil keh raha hai

suraj ki dhalti yeh kirne...mujh se jaati yeh khushiyaan

gam ke yeh saagar hain badhte...is raat ka nahi hai ab savera..
aa jaao laut ke tum...yeh dil keh raha hai

chalte hamesha sahaare..phir kyun na milte kinaare..
chandaa ke saath hain taare...phir bhi akele rehte yeh saare...
hain bas teri hi yeh yaadein...saansein hain jnke sahaare

nahi laata ab savera..apne saath ujaalaa..
gam ki hi raatein hain chaayii..yeh chaand hai mujhsa akela..
aa jao laut ke tum...yeh dil keh raha hai..

reton ke ghar jaise sapne...rehte kahaan hai wo apne..
saagar ki lehren bahaa de...aasha ke mehal humaare...
reh gayi teri bas yeh yaadein...jeete hain jinke sahaare

bhooloon bhi kaise tumhe main...ik pal ko na hote judaa ho
bas gaye ho yaadon mein mere...par fir bhi kyun hum akele...
aa jao saamne tum...yeh dil keh raha hai...

tum bin nahi leni saansein...jeena bhi kya hai yeh jeena
tera sparsh nahi mujhko choota...nahi hai tera swar ghulta
rag rag mein teri hi khushboo..phir kyun ho mujhse yun doooor...
aa jaao laut ke tum...yeh dil keh raha hai....